Friday, August 22, 2008

post-independence day reflections

the ever so sublime lyrics in the heart-rending voice of Manna Dey..

'Ai mere pyarey watan'

Aye mere pyaarey watan aye mere bichhade chaman tujh pe dil kubraan
too hee meree aarazoo, too hee meree aabaru, too hee meree jaan

tere daaman se jo aaye, un hawaaon ko salaam
choom loo mai us zubaan ko jis pe aaye teraa naam
sab se pyaaree subah teree, sab se rangee teree shaam

maa kaa dil bankey kabhee seene se lag jaataa hai too
aaur kabhee nanheesee betee ban ke yaad aataa hai too
jitnaa yaad aataa hai too, utanaa tadapaataa hai too

chhodakar teree zameen ko door aa pahuche hain hum
fir bhee hai yahee tamannaa tere zarro kee kasam
hum jahaan paidaa huye, us jagah hee nikle ye dam

No comments: